Maddhim si pehli barish

Maddhim si pehli barish mein
Bheegta hai jab aasmaan,
Kaun kambakht in diwaron mein 
Khud ko qaid rakh sakta hai!
Mann aap hi ud jata hai
Khidki ke raste...
Bheegte kaampte hue...
Samandar ke kinare
Ek tapri ki garam chay peene!

Comments

Popular Posts