Aaj Fir
Kal ke andheron se nikalke, Dekha hai aankhen malte malte... Raston ko dhund mein khote hue, Aur usi dhund se raaste nikalte hue! Mitti mein likhe naam gumte hue, Usi mitti ko jhaadke fir naam nikharte hue! Sooraj ki tez roshni mein nazaren jhukte hue, Aur usi sooraj ki oar garv se badhte hue! Aaj mein kal ko dhoondte hue, Aur aaj hi mein kal ka naseeb banate hue! Bediyon ko ediyon mein chubhote hue, Aur unhi bediyon ko talwon ke neeche kuchalte hue! Pankhon ko ummeedon mein dabte hue, Aur unhi pankhon ko ummeeden nikhaarte hue! Sapno ki shahi ko failte hue, Aur unhi sapno ko fir dekhkar kehte hue... Ki Aaj Fir Jeene Ki Tamanna Hai!!! Aaj Fir Marne Ka Irada Hai....