Taj ko kahan

Taj ko kahan...
Ek maqbara dekhke aa rahe hain
Sangemarmar ki safedi mein lipti
Dafan mohobbat ko dekhke aa rahe hain...
Mumtaz ke bahane se banaye
Ek Shahajahan ke guroor ko dekhke aa rahe hain...
Agre ki us bheed mein
Shayad hum Taj ko hi dekhke aa rahe hain!

Comments

Popular Posts