Anjan sa samandar

Ghul jate hain hum
Anjano ki bheed mein is tarah
Jaise gum ho jate hain
Samandar mein nadi ke nishan
Zindagi ki ret pe
Chhode the kadam kahin
Lehro ki ladai mein
Ho chuke hain wo fanaa!

Comments

Popular Posts