Bas yunhi... kabhi kabhi...

Bas yunhi... kabhi kabhi...
Raat ki silwaton se nikalkar
Ek yaad nikal aati hai -
Timtimate taaro se hokar
Tere paas le jati hai...
Sannate mein simat jate hai woh pal
Teri baahon ki odh mein guzre the jo,
Ek khamosh si guzarish bankar
Gili si oas mein pighal jate hain..!

Comments

Popular Posts