Shor

Jisne jaga diya hai
Pehle pahar ki neend se mujhe,
Yeh shor in garajte badalon ka hai
Ya mere mann ka?
Narm si boondein
Jo fisal rahi hai mere gaalon par,
Yeh is toofani barish ki hain
Ya mere mann ki?
Beimaan si aahat
Jo goonjti hain mere kaanon mein
Is pagal mausam ki hai
Ya mere mann ki?

Comments

Popular Posts